do din se kuchh bani thi so phir shab bigaD gai
do din se kuchh banī thī so phir shab bigaḌ ga.ī
sohbat hamārī yaar se beDhab bigaḌ ga.ī
vāshud kuchh aage aah sī hotī thī dil ke ta.iiñ
iqlīm-e-āshiqī kī havā ab bigaḌ ga.ī
garmī ne dil kī hijr meñ us ke jalā diyā
shāyad ki ehtiyāt se ye tab bigaḌ ga.ī
ḳhat ne nikal ke naqsh diloñ ke uThā diye
sūrat butoñ kī achchhī jo thī sab bigaḌ ga.ī
bāham sulūk thā to uThāte the narm garm
kaahe ko 'mīr' koī dabe jab bigaḌ ga.ī
do din se kuchh bani thi so phir shab bigaD gai
sohbat hamari yar se beDhab bigaD gai
washud kuchh aage aah si hoti thi dil ke tain
iqlim-e-ashiqi ki hawa ab bigaD gai
garmi ne dil ki hijr mein us ke jala diya
shayad ki ehtiyat se ye tab bigaD gai
KHat ne nikal ke naqsh dilon ke uTha diye
surat buton ki achchhi jo thi sab bigaD gai
baham suluk tha to uThate the narm garm
kahe ko 'mir' koi dabe jab bigaD gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.