do hi kirdar the kahani mein
do hī kirdār the kahānī meñ
donoñ hī mar ga.e javānī meñ
log lāsheñ nikāl paa.e bas
ishq Duubā huā thā paanī meñ
zindagī jal chukī thī lakḌī sī
raakh bas bach ga.ī nishānī meñ
moḌ aayā thā maiñ muḌā hī nahīñ
ho ga.ī bhuul zindagānī meñ
thā 'sachin' shaḳhs ik mire jaisā
aur vo maiñ thā bad-gumānī meñ
do hi kirdar the kahani mein
donon hi mar gae jawani mein
log lashen nikal pae bas
ishq Duba hua tha pani mein
zindagi jal chuki thi lakDi si
rakh bas bach gai nishani mein
moD aaya tha main muDa hi nahin
ho gai bhul zindagani mein
tha 'sachin' shaKHs ek mere jaisa
aur wo main tha bad-gumani mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.