do-jahan se mawara ho jaega
do-jahāñ se māvarā ho jā.egā
jo tire ġham meñ fanā ho jā.egā
dard jab dil se judā ho jā.egā
sāz-e-hastī be-sadā ho jā.egā
dekhiye ahd-e-vafā achchhā nahīñ
marnā jiinā saath kā ho jā.egā
be-natīja hai ḳhayāl-e-tark-e-rāh
phir kisī din sāmnā ho jā.egā
ab Thahar jā yād-e-jānāñ ro to luuñ
farz-e-tanhā.ī adā ho jā.egā
lahza lahza rakh ḳhayāl-e-husn-e-dost
lamha lamha kaam kā ho jā.egā
zauq-e-azm-e-bā-amal darkār hai
aag meñ bhī rāsta ho jā.egā
apnī jānib jab nazar uTh jā.egī
zarra zarra ā.īna ho jā.egā
do-jahan se mawara ho jaega
jo tere gham mein fana ho jaega
dard jab dil se juda ho jaega
saz-e-hasti be-sada ho jaega
dekhiye ahd-e-wafa achchha nahin
marna jina sath ka ho jaega
be-natija hai KHayal-e-tark-e-rah
phir kisi din samna ho jaega
ab Thahar ja yaad-e-jaanan ro to lun
farz-e-tanhai ada ho jaega
lahza lahza rakh KHayal-e-husn-e-dost
lamha lamha kaam ka ho jaega
zauq-e-azm-e-ba-amal darkar hai
aag mein bhi rasta ho jaega
apni jaanib jab nazar uTh jaegi
zarra zarra aaina ho jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.