do pyalon mein abhi sarshaar ho jata hun aa saqi
do pyāloñ meñ abhī sarshār ho jaatā huuñ aa saaqī
tū apne jām-e-chashm-e-mast ko gardish meñ lā saaqī
hai dil meñ ho ke sar-ḳhush kiije tere jām-o-mīnā ke
ravā mastoñ ke mashrab meñ jo ho mad.h-o-sanā saaqī
maiñ us ke nargis-e-mai-gūñ kī kaifiyyat ko paayā huuñ
hai us kī chashm jām-e-mai aur us kī har adā saaqī
zamīñ par 'ishq' niiñ jhuktā hai bad-mastī kī hālat se
ye sajda biich jā kartā hai tujh haq meñ duā saaqī
do pyalon mein abhi sarshaar ho jata hun aa saqi
tu apne jam-e-chashm-e-mast ko gardish mein la saqi
hai dil mein ho ke sar-KHush kije tere jam-o-mina ke
rawa maston ke mashrab mein jo ho madh-o-sana saqi
main us ke nargis-e-mai-gun ki kaifiyyat ko paya hun
hai us ki chashm jam-e-mai aur us ki har ada saqi
zamin par 'ishq' nin jhukta hai bad-masti ki haalat se
ye sajda bich ja karta hai tujh haq mein dua saqi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.