do qadam sath kya chala rasta
do qadam saath kyā chalā rasta
ban gayā merā ham-navā rasta
bichhḌā apne musāfiroñ se jab
kitnā māyūs ho gayā rasta
sab haiñ manzil kī justujū meñ yahāñ
kaun dekhe burā bhalā rasta
aisī hone lagī thakan us ko
din ke Dhalte hī so gayā rasta
phir na.ī kā.enāt dekhūñgā
mere andar agar milā rasta
tū baḌā ḳhush-nasīb hai 'āzar'
tujh pe āsān ho gayā rasta
do qadam sath kya chala rasta
ban gaya mera ham-nawa rasta
bichhDa apne musafiron se jab
kitna mayus ho gaya rasta
sab hain manzil ki justuju mein yahan
kaun dekhe bura bhala rasta
aisi hone lagi thakan us ko
din ke Dhalte hi so gaya rasta
phir nai kaenat dekhunga
mere andar agar mila rasta
tu baDa KHush-nasib hai 'azar'
tujh pe aasan ho gaya rasta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.