Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dobara zist kahin gham mein mubtala na kare

Nasiri Lakhnavi

dobara zist kahin gham mein mubtala na kare

Nasiri Lakhnavi

MORE BYNasiri Lakhnavi

    dobāra ziist kahīñ ġham meñ mubtalā na kare

    vo saath ġhair ke hoñ hashr meñ ḳhudā na kare

    udaas huuñ ki mirā dil nahīñ hai pahlū meñ

    mirī tarah koī maġhmūm ho ḳhudā na kare

    samajh meñ aa.e jo bargashtagī muqaddar

    marīz aap marne bhī duā na kare

    jafā jo chāhe kare 'nāsirī' vo dil-āzār

    kisī ġharīb se dil ko magar judā na kare

    dobara zist kahin gham mein mubtala na kare

    wo sath ghair ke hon hashr mein KHuda na kare

    udas hun ki mera dil nahin hai pahlu mein

    meri tarah koi maghmum ho KHuda na kare

    samajh mein aae jo bargashtagi muqaddar ki

    mariz aap ka marne ki bhi dua na kare

    jafa jo chahe kare 'nasiri' wo dil-azar

    kisi gharib se dil ko magar juda na kare

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now