donon aalam se ayan tha mujhe malum na tha
donoñ aalam se ayaañ thā mujhe ma.alūm na thā
tū hī to jalva-kunāñ thā mujhe ma.alūm na thā
qalb-e-muztar meñ mire mehr-o-vafā kī sūrat
nuur kā ek jahāñ thā mujhe ma.alūm na thā
dard-e-kaunain uThā rakkhā thā allāh allāh
dil mirā kitnā javāñ thā mujhe ma.alūm na thā
tū mirī mahfil-e-afkār sajāne ke liye
ruuh meñ nuur fashāñ thā mujhe ma.alūm na thā
zīnat-e-farsh rahā yā sar-e-qausain rahā
terā mahbūb kahāñ thā mujhe ma.alūm na thā
jo bahā fart-e-nadāmat se huzūrī meñ tirī
kitnā vo ashk garāñ thā mujhe ma.alūm na thā
lāla-o-gul meñ fazāoñ meñ mah-o-anjum meñ
terā hī nuur nihāñ thā mujhe ma.alūm na thā
bāġh-e-hastī meñ jalā merā vajūd-e-hastī
sūrat-e-fasl-e-ḳhizāñ thā mujhe ma.alūm na thā
donon aalam se ayan tha mujhe malum na tha
tu hi to jalwa-kunan tha mujhe malum na tha
qalb-e-muztar mein mere mehr-o-wafa ki surat
nur ka ek jahan tha mujhe malum na tha
dard-e-kaunain uTha rakkha tha allah allah
dil mera kitna jawan tha mujhe malum na tha
tu meri mahfil-e-afkar sajaane ke liye
ruh mein nur fashan tha mujhe malum na tha
zinat-e-farsh raha ya sar-e-qausain raha
tera mahbub kahan tha mujhe malum na tha
jo baha fart-e-nadamat se huzuri mein teri
kitna wo ashk garan tha mujhe malum na tha
lala-o-gul mein fazaon mein mah-o-anjum mein
tera hi nur nihan tha mujhe malum na tha
bagh-e-hasti mein jala mera wajud-e-hasti
surat-e-fasl-e-KHizan tha mujhe malum na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.