donon apne kaam ke mahir donon baDe zahin
donoñ apne kaam ke māhir donoñ baḌe zahīn
saañp hamesha phan lahrā.e aur saperā biin
gurg vahāñ koī sar nahīñ kartā aahū par bandūq
us bastī ko jangal kahnā jangal kī tauhīn
soḳhtagāñ kī bazm-e-suḳhan meñ sadr-nashīñ aaseb
chīḳhoñ ke sad ġhazloñ par sannāToñ kī tahsīn
fitna-e-shab ne ḳhatm kiyā sab āñkhoñ kā āzār
saare ḳhvāb haqīqat ban ga.e saare vahm yaqīn
ham bhī patthar tum bhī patthar sab patthar Takrāo
ham bhī TūTeñ tum bhī TuuTo sab TūTeñ āmīn
donon apne kaam ke mahir donon baDe zahin
sanp hamesha phan lahrae aur sapera bin
gurg wahan koi sar nahin karta aahu par banduq
us basti ko jangal kahna jangal ki tauhin
soKHtagan ki bazm-e-suKHan mein sadr-nashin aaseb
chiKHon ke sad ghazlon par sannaTon ki tahsin
fitna-e-shab ne KHatm kiya sab aankhon ka aazar
sare KHwab haqiqat ban gae sare wahm yaqin
hum bhi patthar tum bhi patthar sab patthar Takrao
hum bhi TuTen tum bhi TuTo sab TuTen aamin
- Book : Hoshiyari Dil-e-Nadan Bahut Karta Hai (Pg. 48)
- Author :Irfan Siddiqi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.