donon ham-pesha the donon hi mein yarana tha
donoñ ham-pesha the donoñ hī meñ yārāna thā
qātil-e-shahr se par rabt raqībāna thā
vo khule jism phirā shahr ke bāzāroñ meñ
log kahte haiñ ye iqdām dilerāna thā
band muTThī meñ mirī raakh thī tābīroñ kī
us kī āñkhoñ meñ bhī ik ḳhvāb marīzāna thā
laġhzish-e-pā bhī har ik gaam thī saaya saaya
zindagī tujh se ta.alluq bhī sharīfāna thā
tum jahāñ apnī masāfat ke nishāñ chhoḌ ga.e
vo guzargāh mirī zaat kā vīrāna thā
sunte haiñ apnī hī talvār use kaaT ga.ī
dosto ham meñ jo ik shaḳhs harīfāna thā
donon ham-pesha the donon hi mein yarana tha
qatil-e-shahr se par rabt raqibana tha
wo khule jism phira shahr ke bazaron mein
log kahte hain ye iqdam dilerana tha
band muTThi mein meri rakh thi tabiron ki
us ki aankhon mein bhi ek KHwab marizana tha
laghzish-e-pa bhi har ek gam thi saya saya
zindagi tujh se talluq bhi sharifana tha
tum jahan apni masafat ke nishan chhoD gae
wo guzargah meri zat ka virana tha
sunte hain apni hi talwar use kaT gai
dosto hum mein jo ek shaKHs harifana tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.