dosh kis ka hai bewafai mein
dosh kis kā hai bevafā.ī meñ
kuchh bhī kahnā nahīñ safā.ī meñ
zindagī zindagī pe bojh banī
jī rahī huuñ agar judā.ī meñ
is pe koī asar bhī kaise ho
dil bhī shāmil nahīñ duhā.ī meñ
ishq kā kārobār chal niklā
hai ḳhasārā mirī kamā.ī meñ
chāra-gar tujh pe e'timād mujhe
zahr bhī rakh mirī davā.ī meñ
'fātima' kā nahīñ koī apnā
ai ḳhudā terī is ḳhudā.ī meñ
dosh kis ka hai bewafai mein
kuchh bhi kahna nahin safai mein
zindagi zindagi pe bojh bani
ji rahi hun agar judai mein
is pe koi asar bhi kaise ho
dil bhi shamil nahin duhai mein
ishq ka karobar chal nikla
hai KHasara meri kamai mein
chaara-gar tujh pe e'timad mujhe
zahr bhi rakh meri dawai mein
'fatima' ka nahin koi apna
ai KHuda teri is KHudai mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.