dost ban kar aae koi aur gale hans kar lage
dost ban kar aa.e koī aur gale hans kar lage
ek arsa ho gayā hai piiTh meñ ḳhanjar lage
kis qadar bechain rahtā huuñ ki mujh bīmār ko
duur se aatā huā har shaḳhs chārāgar lage
ek muddat kā maiñ jaagā is bharam meñ so gayā
kyā pata mujh ko ye duniyā ḳhvāb meñ behtar lage
qabl to merā ye ronā thā koī nazdīk ho
ab ye aalam hai ki mujh ko mahfiloñ se Dar lage
itne chehre aañkh se guzre haiñ us kī khoj meñ
ain mumkin hai mirā ho jaa.e to dīgar lage
ab to mujh ko rañg hī bhāte nahīñ tab to terī
zulf ke saa.e dhanak ke rañgoñ se baḌh kar lage
dost ban kar aae koi aur gale hans kar lage
ek arsa ho gaya hai piTh mein KHanjar lage
kis qadar bechain rahta hun ki mujh bimar ko
dur se aata hua har shaKHs chaaragar lage
ek muddat ka main jaga is bharam mein so gaya
kya pata mujh ko ye duniya KHwab mein behtar lage
qabl to mera ye rona tha koi nazdik ho
ab ye aalam hai ki mujh ko mahfilon se Dar lage
itne chehre aankh se guzre hain us ki khoj mein
ain mumkin hai mera ho jae to digar lage
ab to mujh ko rang hi bhate nahin tab to teri
zulf ke sae dhanak ke rangon se baDh kar lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.