dost ban kar wo dilsitan na raha
dost ban kar vo dilsitāñ na rahā
chaar din bhī to mehrbāñ na rahā
dil ke dam se thā hasratoñ kā hujūm
ab vo sālār-e-kārvāñ na rahā
kyā hasīnoñ ne zulm chhoḌ diyā
dil meñ kyuuñ dard kā nishāñ na rahā
ka.abe meñ dair meñ kalīsā meñ
zikr us kā kahāñ kahāñ na rahā
dil meñ mere vo chhup ke baiTh ga.e
jab koī un kā pāsbāñ na rahā
mujh se gar ruuTh kar gayā koī
bevafā.ī kā bhī gumāñ na rahā
aap ke zulm bhī ḳhushī se sahe
'shād' kis roz shādmāñ na rahā
dost ban kar wo dilsitan na raha
chaar din bhi to mehrban na raha
dil ke dam se tha hasraton ka hujum
ab wo salar-e-karwan na raha
kya hasinon ne zulm chhoD diya
dil mein kyun dard ka nishan na raha
kabe mein dair mein kalisa mein
zikr us ka kahan kahan na raha
dil mein mere wo chhup ke baiTh gae
jab koi un ka pasban na raha
mujh se gar ruTh kar gaya koi
bewafai ka bhi guman na raha
aap ke zulm bhi KHushi se sahe
'shad' kis roz shadman na raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.