dost ko mahram bana kar dushman-e-jaan kar diya
dost ko mahram banā kar dushman-e-jāñ kar diyā
tū ne ai dil aap barbādī kā sāmāñ kar diyā
laġhzish-e-ādam to ham tak aa.ī hai mīrās meñ
the farishte lekin is ḳhūbī ne insāñ kar diyā
mehrbāñ ne ġham ġhalat karne kī rakkhī hai sabīl
jab paḌā hai qaht-e-mai to zahr arzāñ kar diyā
kaise kaise azm ho kar rah ga.e manzil kī nazr
kaisī kaisī ḳhvāhishoñ ko tum ne armāñ kar diyā
kab ḳhirad meñ zo.af aayā hai kabhī lekin use
vasvasoñ ne kund andeshoñ ne hairāñ kar diyā
ham ne bhī mahsūs kī ThanDak zarā sī chhāñv meñ
aaj 'shaukat' kis ne zulfoñ ko pareshāñ kar diyā
dost ko mahram bana kar dushman-e-jaan kar diya
tu ne ai dil aap barbaadi ka saman kar diya
laghzish-e-adam to hum tak aai hai miras mein
the farishte lekin is KHubi ne insan kar diya
mehrban ne gham ghalat karne ki rakkhi hai sabil
jab paDa hai qaht-e-mai to zahr arzan kar diya
kaise kaise azm ho kar rah gae manzil ki nazr
kaisi kaisi KHwahishon ko tum ne arman kar diya
kab KHirad mein zoaf aaya hai kabhi lekin use
waswason ne kund andeshon ne hairan kar diya
hum ne bhi mahsus ki ThanDak zara si chhanw mein
aaj 'shaukat' kis ne zulfon ko pareshan kar diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.