dosti dushmani hai apni jagah
dostī dushmanī hai apnī jagah
ye pata karte pyaar kis kī jagah
phailā hai tām-jhām kitnā yahāñ
tum vahīñ rakh do jo hai jis kī jagah
jis ko jo bhī jagah mile baiTho
laḌ rahe kyoñ ye terī merī jagah
apne jūtoñ pe baiTh jaao tum
log baiThe haiñ kaisī kaisī jagah
yaar jis ko milī milī hogī
maiñ ne to apnī ye kamā.ī jagah
dosti dushmani hai apni jagah
ye pata karte pyar kis ki jagah
phaila hai tam-jham kitna yahan
tum wahin rakh do jo hai jis ki jagah
jis ko jo bhi jagah mile baiTho
laD rahe kyon ye teri meri jagah
apne juton pe baiTh jao tum
log baiThe hain kaisi kaisi jagah
yar jis ko mili mili hogi
main ne to apni ye kamai jagah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.