dosti ka maqam dekh liya
dostī kā maqām dekh liyā
jazba-e-intiqām dekh liyā
ḳhūn-e-qātil kī ḳhanjar-āshāmī
qatl kā ehtimām dekh liyā
naav kis ne Duboī sāhil kī
nāḳhudā kā kalām dekh liyā
harf-e-ehsās jab huā ghāyal
shiddat-e-iltiyām dekh liyā
ārzū-e-azāb-e-ishq hai paas
dard kā iltizām dekh liyā
haath uThā.e duā-e-bad ke liye
zarf-e-nail-e-marām dekh liyā
purza purza milā ke phaaḌ diyā
ḳhat pe 'nāzir' kā naam dekh liyā
dosti ka maqam dekh liya
jazba-e-intiqam dekh liya
KHun-e-qatil ki KHanjar-ashami
qatl ka ehtimam dekh liya
naw kis ne Duboi sahil ki
naKHuda ka kalam dekh liya
harf-e-ehsas jab hua ghayal
shiddat-e-iltiyam dekh liya
aarzu-e-azab-e-ishq hai pas
dard ka iltizam dekh liya
hath uThae dua-e-bad ke liye
zarf-e-nail-e-maram dekh liya
purza purza mila ke phaD diya
KHat pe 'nazir' ka nam dekh liya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.