dosti na ki hogi khel hi kiya hoga
dostī na kī hogī khel hī kiyā hogā
aap ne hameñ sochā ġhair ḳhush huā hogā
merī ruuh meñ kitne zaḳhm khil ga.e dekho
koī dil ke āñgan meñ dard bo gayā hogā
jo bhī us se miltā hai ḳhvāb bunñe lagtā hai
kaun jaane kis kis se us ne kyā kahā hogā
rāste meñ pal bhar hī vo hameñ mile bas phir
shahr meñ kahānī kā silsila chalā hogā
zindagī sajā le phir aa.ine meñ dekhūñgī
mujh pe dard kā zevar kaisā lag rahā hogā
ḳhvāb āsmānoñ ke dekhne lagīñ 'parvīñ'
aise hī sitāre par naam rakh diyā hogā
dosti na ki hogi khel hi kiya hoga
aap ne hamein socha ghair KHush hua hoga
meri ruh mein kitne zaKHm khil gae dekho
koi dil ke aangan mein dard bo gaya hoga
jo bhi us se milta hai KHwab bunne lagta hai
kaun jaane kis kis se us ne kya kaha hoga
raste mein pal bhar hi wo hamein mile bas phir
shahr mein kahani ka silsila chala hoga
zindagi saja le phir aaine mein dekhungi
mujh pe dard ka zewar kaisa lag raha hoga
KHwab aasmanon ke dekhne lagin 'parwin'
aise hi sitare par nam rakh diya hoga
- Book : Shora-e-London (Pg. 59)
- Author : Jauhar Zahiri
- Publication : Books From India (U.K) Ltd. 45, Museum Street, Londan W.C-1 (1985)
- Edition : 1985
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.