dosti uski dushmani hi sahi
dostī us kī dushmanī hī sahī
dost to ho vo mudda.ī hī sahī
mastī-o-bahs-e-uzr-e-kaffāra
tauba se tauba ham ne kī hī sahī
hai agar kuchh vafā to kyā kahne
kuchh nahīñ hai to dil lagī hī sahī
jī hai ye bin lage nahīñ rahtā
kuchh to ho shaġhl-e-āshiqī hī sahī
mohtasib ḳhatm kījiye hujjat
pī hai to ḳhair ham ne pī hī sahī
haif ḳhamyāz-hā-e-hasrat-o-shauq
zindagānī kashākashī hī sahī
jaan de kar liyā hai nām-e-vafā
maut bhī ham ne mol lī hī sahī
milte haiñ mudda.ī se milne do
ki mirī nā-ḳhushī ḳhushī hī sahī
bosa dene kī chiiz hai āḳhir
na sahī har ghaḌī kabhī hī sahī
qatl hote haiñ qatl hote haiñ
ahd-e-dil daur-e-nādarī hī sahī
ai 'qalaq' nāsehoñ se kyā takrār
maan ik baat maan lī hī sahī
dosti us ki dushmani hi sahi
dost to ho wo muddai hi sahi
masti-o-bahs-e-uzr-e-kaffara
tauba se tauba hum ne ki hi sahi
hai agar kuchh wafa to kya kahne
kuchh nahin hai to dil lagi hi sahi
ji hai ye bin lage nahin rahta
kuchh to ho shaghl-e-ashiqi hi sahi
mohtasib KHatm kijiye hujjat
pi hai to KHair hum ne pi hi sahi
haif KHamyaz-ha-e-hasrat-o-shauq
zindagani kashakashi hi sahi
jaan de kar liya hai nam-e-wafa
maut bhi hum ne mol li hi sahi
milte hain muddai se milne do
ki meri na-KHushi KHushi hi sahi
bosa dene ki chiz hai aaKHir
na sahi har ghaDi kabhi hi sahi
qatl hote hain qatl hote hain
ahd-e-dil daur-e-nadari hi sahi
ai 'qalaq' nasehon se kya takrar
man ek baat man li hi sahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.