dosti ya thi dushmani meri
dostī yā thī dushmanī merī
zindagī se nahīñ banī merī
haal aisā nahīñ ki batlā.ūñ
aisī hālat na thī ki thī merī
haath thāmā bhī aur chhoḌ diyā
jeb raste meñ kaT ga.ī merī
aa gayā yaad us ko koī kaam
beach meñ baat rah ga.ī merī
vo mirī zindagī kā hāsil thā
jis ko samjhe the dil-lagī merī
yā mohabbat kī laġhzisheñ thiiñ bahut
yā thī un meñ koī kamī merī
dil ke vīrān dasht-o-sahrā meñ
shor kartī hai ḳhāmushī merī
na hoī jo kabhī kisī se bhī
vo mohabbat thī āḳhirī mary
roz likhtā huuñ ik na.ī rūdād
āp-bītī hai shā.irī merī
ab bhī maiñ tum ko yaad aatā huuñ
ab bhī paḌhtī ho shā.irī merī
zindagī kā ma.aal itnā hai
umr kaTnī thī kaT ga.ī merī
kyā zarūrī thā hijr kā rasta
yā usī meñ thī behtarī merī
so rahā thā maiñ ḳhvāb ko oḌhe
ḳhvāb meñ aañkh khul ga.ī merī
bas meñ apnā nahīñ rahā 'kāzim'
mujh pe hañstī hai bebasī merī
dosti ya thi dushmani meri
zindagi se nahin bani meri
haal aisa nahin ki batlaun
aisi haalat na thi ki thi meri
hath thama bhi aur chhoD diya
jeb raste mein kaT gai meri
aa gaya yaad us ko koi kaam
beach mein baat rah gai meri
wo meri zindagi ka hasil tha
jis ko samjhe the dil-lagi meri
ya mohabbat ki laghzishen thin bahut
ya thi un mein koi kami meri
dil ke viran dasht-o-sahra mein
shor karti hai KHamushi meri
na hoi jo kabhi kisi se bhi
wo mohabbat thi aaKHiri mary
roz likhta hun ek nai rudad
aap-biti hai shairi meri
ab bhi main tum ko yaad aata hun
ab bhi paDhti ho shairi meri
zindagi ka maal itna hai
umr kaTni thi kaT gai meri
kya zaruri tha hijr ka rasta
ya usi mein thi behtari meri
so raha tha main KHwab ko oDhe
KHwab mein aankh khul gai meri
bas mein apna nahin raha 'kazim'
mujh pe hansti hai bebasi meri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.