dosto ab tum na dekhoge ye din
dosto ab tum na dekhoge ye din
ḳhatm haiñ ham par sitam-ārā.iyāñ
chun liyā ik ek kāñTā raah kā
ho mubārak ye barahna-pā.iyāñ
kū-ba-kū mere junūñ kī azmateñ
us kī mahfil meñ mirī rusvā.iyāñ
azmat-e-suqrāt-o-īsā kī qasam
daar ke saa.e meñ haiñ dārā.iyāñ
chārāgar marham bharegā tū kahāñ
ruuh tak haiñ zaḳhm kī gahrā.iyāñ
'kaif' ko dāġh-e-jigar baḳhshe ga.e
allāh allāh ye karam-farmā.iyāñ
dosto ab tum na dekhoge ye din
KHatm hain hum par sitam-araiyan
chun liya ek ek kanTa rah ka
ho mubarak ye barahna-paiyan
ku-ba-ku mere junun ki azmaten
us ki mahfil mein meri ruswaiyan
azmat-e-suqraat-o-isa ki qasam
dar ke sae mein hain daraiyan
chaaragar marham bharega tu kahan
ruh tak hain zaKHm ki gahraiyan
'kaif' ko dagh-e-jigar baKHshe gae
allah allah ye karam-farmaiyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.