dosto zindagi amanat hai
dosto zindagī amānat hai
saañs lenā bhī ik ibādat hai
vo kahāñ haiñ hameñ nahīñ ma.alūm
jin ko insān se mohabbat hai
saaf kahne meñ sharm kaisī hai
aap ko ham se kyā shikāyat hai
sub.h tā shaam ek hañgāma
milne julne kī kis ko fursat hai
haal ahvāl kyā batā.eñ ham
koī taklīf hai na rāhat hai
dosto zindagi amanat hai
sans lena bhi ek ibaadat hai
wo kahan hain hamein nahin malum
jin ko insan se mohabbat hai
saf kahne mein sharm kaisi hai
aap ko hum se kya shikayat hai
subh ta sham ek hangama
milne julne ki kis ko fursat hai
haal ahwal kya bataen hum
koi taklif hai na rahat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.