doston ke sitam ki baat karo
dostoñ ke sitam kī baat karo
baat ġham kī hai ġham kī baat karo
sachchī bātoñ ke ho agar qaa.il
apnī jhūTī qasam kī baat karo
apnā ka.aba hai kūcha-e-jānāñ
ham se kū-e-sanam kī baat karo
chāhte ho jo tum diloñ kā milāp
chhoḌ ke maiñ ko ham kī baat karo
jin ke naqsh-e-qadam haiñ rāh-numā
un ke naqsh-e-qadam kī baat karo
dard jis ne diyā hai bahr-e-ḳhudā
us nigāh-e-karam kī baat karo
baat ashk-e-vafā kī hai yaaro
'purnam'-e-dīda-nam kī baat karo
doston ke sitam ki baat karo
baat gham ki hai gham ki baat karo
sachchi baaton ke ho agar qail
apni jhuTi qasam ki baat karo
apna kaba hai kucha-e-jaanan
hum se ku-e-sanam ki baat karo
chahte ho jo tum dilon ka milap
chhoD ke main ko hum ki baat karo
jin ke naqsh-e-qadam hain rah-numa
un ke naqsh-e-qadam ki baat karo
dard jis ne diya hai bahr-e-KHuda
us nigah-e-karam ki baat karo
baat ashk-e-wafa ki hai yaro
'purnam'-e-dida-nam ki baat karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.