doston ki mahfil ho reshmi ujala ho
dostoñ kī mahfil ho reshmī ujālā ho
sāmne kī bāteñ hoñ koī sunñe vaalā ho
koī mojazātī sā ek dil-rubā lamha
us ke hoñT khul jaa.eñ mere lab pe taalā ho
ḳhvāb saare takiye pe chain kī hoñ sote niiñd
'mīr' jī ke jaisā hī rog ham ne paalā ho
apne lab pe chhū chhū ke jaam laa.e gardish meñ
ye maza nashe vaalā aur bhī do-bālā ho
aaj bairī man chāhe kunj ek aisā ho
bāñsurī kī tāneñ hoñ aur ek baalā ho
'rāhī' be-vajah ranjish ḳhair ho bhī saktā hai
is gudāz lamhe ko tum ne bhī sañbhālā ho
doston ki mahfil ho reshmi ujala ho
samne ki baaten hon koi sunne wala ho
koi mojazati sa ek dil-ruba lamha
us ke honT khul jaen mere lab pe tala ho
KHwab sare takiye pe chain ki hon sote nind
'mir' ji ke jaisa hi rog hum ne pala ho
apne lab pe chhu chhu ke jam lae gardish mein
ye maza nashe wala aur bhi do-baala ho
aaj bairi man chahe kunj ek aisa ho
bansuri ki tanen hon aur ek baala ho
'rahi' be-wajah ranjish KHair ho bhi sakta hai
is gudaz lamhe ko tum ne bhi sanbhaala ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.