doston ko yun satana chhoD de
dostoñ ko yuuñ satānā chhoḌ de
dushmanoñ kā dil baḌhānā chhoḌ de
tum hī duniyā bhī mirī ho diin bhī
kyā hai gar saarā zamāna chhoḌ de
hāl-e-dil kahnā jo chāhā ye kahā
be-sar-o-pā ye fasāna chhoḌ de
bazm-e-dushman meñ vo jā kar luT ga.e
rahzan aur aisā ḳhazāna chhoḌ de
sharm kar ai dil taġhāful us kā dekh
ab bhī hāl-e-dil sunānā chhoḌ de
tāb-e-nazzāra se ḳhud mahrūm haiñ
āshiqoñ se muñh chhupānā chhoḌ de
us ko maiñ parda-nashīñ samjhūñ agar
merī nazroñ meñ samānā chhoḌ de
tund mai aur sāqiyā vo sho.ala-ḳhū
aag paanī meñ lagānā chhoḌ de
dāġh-e-dil bulbul ko hai rashk-e-bahār
kyoñ ḳhizāñ meñ chahchahānā chhoḌ de
kyoñ jiye kyūñkar jiye 'bedil' agar
mahvashoñ se dil lagānā chhoḌ de
doston ko yun satana chhoD de
dushmanon ka dil baDhana chhoD de
tum hi duniya bhi meri ho din bhi
kya hai gar sara zamana chhoD de
haal-e-dil kahna jo chaha ye kaha
be-sar-o-pa ye fasana chhoD de
bazm-e-dushman mein wo ja kar luT gae
rahzan aur aisa KHazana chhoD de
sharm kar ai dil taghaful us ka dekh
ab bhi haal-e-dil sunana chhoD de
tab-e-nazzara se KHud mahrum hain
aashiqon se munh chhupana chhoD de
us ko main parda-nashin samjhun agar
meri nazron mein samana chhoD de
tund mai aur saqiya wo shoala-KHu
aag pani mein lagana chhoD de
dagh-e-dil bulbul ko hai rashk-e-bahaar
kyon KHizan mein chahchahana chhoD de
kyon jiye kyunkar jiye 'bedil' agar
mahwashon se dil lagana chhoD de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.