dua ki narm panahon mein ja ke leT gaya
du'ā kī narm panāhoñ meñ jā ke leT gayā
maiñ bhiik māñgte shāhoñ meñ jā ke leT gayā
guzishta raat zamāne kī aañkh lagte hī
maiñ ek chāñd kī bāhoñ meñ jā ke leT gayā
har ik zabān pe ġhībat ke phunsī phoḌe the
so kār-e-ḳhair gunāhoñ meñ jā ke leT gayā
kisī bhī zaḳhm ne bai'at na kī shahādat se
mirā jihād karāhoñ meñ jā ke leT gayā
kuchh aise jhuuT ko pahnāyā us ne sach kā libās
yaqīn vahm kī bāhoñ meñ jā ke leT gayā
du'a ki narm panahon mein ja ke leT gaya
main bhik mangte shahon mein ja ke leT gaya
guzishta raat zamane ki aankh lagte hi
main ek chand ki bahon mein ja ke leT gaya
har ek zaban pe ghibat ke phunsi phoDe the
so kar-e-KHair gunahon mein ja ke leT gaya
kisi bhi zaKHm ne bai'at na ki shahadat se
mera jihad karahon mein ja ke leT gaya
kuchh aise jhuT ko pahnaya us ne sach ka libas
yaqin wahm ki bahon mein ja ke leT gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.