Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dua karo ki ye pauda sada hara hi lage

Bashir Badr

dua karo ki ye pauda sada hara hi lage

Bashir Badr

MORE BYBashir Badr

  duā karo ki ye paudā sadā harā lage

  udāsiyoñ meñ bhī chehra khilā khilā lage

  vo sādgī na kare kuchh bhī to adā lage

  vo bhol-pan hai ki bebākī bhī hayā lage

  ye zāfrānī pullover usī hissa hai

  koī jo dūsrā pahne to dūsrā lage

  nahīñ hai mere muqaddar meñ raushnī na sahī

  ye khiḌkī kholo zarā sub.h havā lage

  ajiib shaḳhs hai nārāz ho ke hañstā hai

  maiñ chāhtā huuñ ḳhafā ho to vo ḳhafā lage

  hasīñ to aur haiñ lekin koī kahāñ tujh

  jo dil jalā.e bahut phir bhī dilrubā lage

  hazāroñ bhes meñ phirte haiñ raam aur rahīm

  koī zarūrī nahīñ hai bhalā bhalā lage

  dua karo ki ye pauda sada hara hi lage

  udasiyon mein bhi chehra khila khila hi lage

  wo sadgi na kare kuchh bhi to ada hi lage

  wo bhol-pan hai ki bebaki bhi haya hi lage

  ye zafrani pullower usi ka hissa hai

  koi jo dusra pahne to dusra hi lage

  nahin hai mere muqaddar mein raushni na sahi

  ye khiDki kholo zara subh ki hawa hi lage

  ajib shaKHs hai naraaz ho ke hansta hai

  main chahta hun KHafa ho to wo KHafa hi lage

  hasin to aur hain lekin koi kahan tujh sa

  jo dil jalae bahut phir bhi dilruba hi lage

  hazaron bhes mein phirte hain ram aur rahim

  koi zaruri nahin hai bhala bhala hi lage

  Videos
  This video is playing from YouTube

  Videos
  This video is playing from YouTube

  Chandan Dass

  Chandan Dass

  RECITATIONS

  Nomaan Shauque

  Nomaan Shauque,

  Nomaan Shauque

  dua karo ki ye pauda sada hara hi lage Nomaan Shauque

  This content features in following collection(s)

  ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

  ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

  મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY

  Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

  GET YOUR PASS
  Speak Now