dua salam nahin nama-o-payam nahin
duā salām nahīñ nāma-o-payām nahīñ
kuchh apne chāhne vāloñ se un ko kaam nahīñ
vo kyā thī shām-e-judā.ī na pūchh lagtā thā
ki āḳhirī to kahīñ zindagī kī shaam nahīñ
jo ġhair jaisā ho vo kis liye hamārā ho
jo itnā apnā lage kyoñ hamāre naam nahīñ
kisī ġhazāl ke pīchhe bhaTaktā hogā kahīñ
subuktagīn kā mere kahīñ qayām nahīñ
kushāda dil hai tirā ham bhī paḌ raheñge kahīñ
rahe base koī kuchh is se ham ko kaam nahīñ
miyāñ kahāñ chale aate ho muñh uThā.e ruko
ye zindagī hai mirī shāhrāh-e-ām nahīñ
kitāb Daal dī kuuḌe meñ merī ye kah ke
qasīda-goyoñ meñ mere tirā to naam nahīñ
dua salam nahin nama-o-payam nahin
kuchh apne chahne walon se un ko kaam nahin
wo kya thi sham-e-judai na puchh lagta tha
ki aaKHiri to kahin zindagi ki sham nahin
jo ghair jaisa ho wo kis liye hamara ho
jo itna apna lage kyon hamare nam nahin
kisi ghazal ke pichhe bhaTakta hoga kahin
subuktagin ka mere kahin qayam nahin
kushada dil hai tera hum bhi paD rahenge kahin
rahe base koi kuchh is se hum ko kaam nahin
miyan kahan chale aate ho munh uThae ruko
ye zindagi hai meri shahrah-e-am nahin
kitab Dal di kuDe mein meri ye kah ke
qasida-goyon mein mere tera to nam nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.