duaen mangin hain muddaton tak jhuka ke sar hath uTha uTha kar
duaen mangin hain muddaton tak jhuka ke sar hath uTha uTha kar
Goya Faqir Mohammad
MORE BYGoya Faqir Mohammad
duā.eñ māñgīñ haiñ muddatoñ tak jhukā ke sar haath uThā uThā kar
huā huuñ tab maiñ butoñ kā banda ḳhudā ḳhudā kar ḳhudā ḳhudā kar
duā lab-e-jām ne bhī māñgī subū ne bhī haath uThā uThā kar
hamārī mahfil meñ aayā saaqī ḳhudā ḳhudā kar ḳhudā ḳhudā kar
dikhāyā vahdat ne apnā jalva duī kā parda uThā uThā kar
karūñ maiñ sajda butoñ ke aage tū ai barahman ḳhudā ḳhudā kar
haiñ ashk zaḳhmoñ se mere jaarī na dekhī hogī ye ashk-bārī
banī haiñ chashm-e-pur-āb qātil ye zaḳhm paanī churā churā kar
kahāñ vo shakleñ kahāñ vo bāteñ kahāñ vo jalse kahāñ vo mahfil
ye sab kā sab ḳhvāb kā thā sāmāñ chhupā liyā bas dikhā dikhā kar
ba-rañg-e-sāġhar milā diyā muñh jo muñh se tere ḳhafā na honā
kiyā hai behosh tū ne saaqī sharāb mujh ko pilā pilā kar
uThāyā yāroñ ne par na uTThā zamīñ se hargiz hamārā lāsha
ye kis ne ham ko hai maar Daalā nazar se apnī girā girā kar
jo pahuñcheñ ham murġh-e-nāma-bar ko to chuTkiyoñ meñ use uḌā de
agar-che vo tifl kheltā hai par-e-kabūtar uḌā uḌā kar
pas-az-fanā bhī agar tū aa.e karūñ sag-e-yār mehmānī
ki ustaḳhvānoñ ko apne tan meñ rakhā humā se chhupā chhupā kar
gire agar sar-kashī ho mujh se abhī falak ko zamīñ pe paTkūñ
ki toḌ Daale maiñ aise miine hazāroñ shīshe uThā uThā kar
kabhī mire dil se kartī haiñ bal kahī haiñ shāne se ye uljhtīñ
ġharaz ki zulfoñ ko tū ne zālim bigāḌā hai sar chaḌhā chaḌhā kar
shikast likhtā thā naam dil kā yahī thī tiflī meñ mashq terī
banā diyā dil-shikan ye tujh ko moallimoñ ne likhā likhā kar
baḌe gile haiñ ajal ko tujh se masīh ko bhī bahut haiñ shikve
ki dam meñ tū ne haiñ maar Daale hazāroñ murde jilā jilā kar
pilānā paanī kā jaam zāhid gunāh mashrab meñ hai hamāre
savāb letā nahīñ hai kyuuñ tū sharāb mujh ko pilā pilā kar
nahīñ koī rāzdār ham sā kiyā na vahshat meñ tujh ko rusvā
ki daaġh mānind-e-ḳhār-e-māhī badan meñ rakhe chhupā chhupā kar
gale hazāroñ ne apne kaaTe hazāroñ be-vaj.h ho ga.e ḳhuun
bahut huā phir tū yaar nādim kaf-e-hinā.ī dikhā dikhā kar
nigah kī sūrat phiro na har sū hijāb tum mardumuk se sīkho
ab aao āñkhoñ meñ sair dekho mizha kī chilman uThā uThā kar
dikhā ke gul se ezaar tū ne kiyā dil-e-āshiqāñ ko bulbul
banā diye gosh ġhairat-e-gul sadā-e-rañgīñ sunā sunā kar
gunāh kartā hai barmalā tū kisī se kartā nahīñ hayā tū
ḳhudā ko kyā muñh dikhā.egā tū zarā tū ai be-hayā hayā kar
chalā hai mahfil se apne saaqī dikhā.ūñ maiñ apnī ashk-bārī
karūñ bat-e-mai ko murġh-e-ābī abhī se dariyā bahā bahā kar
rulā.e barsoñ hañsī tū jis se dikhā.e gar zulf maar rakkhe
kare tū dar-parda raah dil meñ jo dekhe parda uThā uThā kar
vahī asar hai junūñ kā ab tak vahī hai laḌkoñ ko ab bhī kāvish
ki merī miTTī ke roz majnūñ bigāḌte haiñ banā banā kar
ajab nahīñ nāma-e-amal kā dilā ho kāġhaz agar ḳhatā ke
ḳhatā.eñ kiiñ maiñ ne āshkārā kiye haiñ isyāñ chhupā chhupā kar
asar hai chāh-e-zaqan kī ulfat kā ba.ad-e-murdan bhī aah baaqī
ki kheltī haiñ hamārī miTTī ke Dol laḌke banā banā kar
kiyā hai poshīda ishq ham ne kisī se dar-parda hai mohabbat
paḌe hue bistar-e-alam par jo rote haiñ muñh chhupā chhupā kar
jo ḳhauf tūfān-e-ashk se ab nahīñ hai jaatā na jaa.e qāsid
ravāñ karūñ sū-e-yār-e-jānī ḳhatoñ kī nāveñ banā banā kar
tirā sā qad ban sakā na hargiz tirī sī sūrat na bin sakī phir
agar-che saan.e ne lākhoñ naqshe bigāḌ Daale banā banā kar
udhar mizha ne lagā.ī barchhī idhar nigāhoñ ne tiir maare
shikast dī fauj-e-sabr-e-dil ko ye kis ne āñkheñ laḌā laḌā kar
kaTī hai goyā shab-e-javānī bas aan pahuñchī hai sub.h-e-pīrī
bahut sī kī tū ne but-parastī ab ek do din ḳhudā ḳhudā kar
duaen mangin hain muddaton tak jhuka ke sar hath uTha uTha kar
hua hun tab main buton ka banda KHuda KHuda kar KHuda KHuda kar
dua lab-e-jam ne bhi mangi subu ne bhi hath uTha uTha kar
hamari mahfil mein aaya saqi KHuda KHuda kar KHuda KHuda kar
dikhaya wahdat ne apna jalwa dui ka parda uTha uTha kar
karun main sajda buton ke aage tu ai barahman KHuda KHuda kar
hain ashk zaKHmon se mere jari na dekhi hogi ye ashk-bari
bani hain chashm-e-pur-ab qatil ye zaKHm pani chura chura kar
kahan wo shaklen kahan wo baaten kahan wo jalse kahan wo mahfil
ye sab ka sab KHwab ka tha saman chhupa liya bas dikha dikha kar
ba-rang-e-saghar mila diya munh jo munh se tere KHafa na hona
kiya hai behosh tu ne saqi sharab mujh ko pila pila kar
uThaya yaron ne par na uTTha zamin se hargiz hamara lasha
ye kis ne hum ko hai mar Dala nazar se apni gira gira kar
jo pahunchen hum murgh-e-nama-bar ko to chuTkiyon mein use uDa de
agar-che wo tifl khelta hai par-e-kabutar uDa uDa kar
pas-az-fana bhi agar tu aae karun sag-e-yar mehmani
ki ustaKHwanon ko apne tan mein rakha huma se chhupa chhupa kar
gire agar sar-kashi ho mujh se abhi falak ko zamin pe paTkun
ki toD Dale main aise mine hazaron shishe uTha uTha kar
kabhi mere dil se karti hain bal kahi hain shane se ye uljhtin
gharaz ki zulfon ko tu ne zalim bigaDa hai sar chaDha chaDha kar
shikast likhta tha nam dil ka yahi thi tifli mein mashq teri
bana diya dil-shikan ye tujh ko moallimon ne likha likha kar
baDe gile hain ajal ko tujh se masih ko bhi bahut hain shikwe
ki dam mein tu ne hain mar Dale hazaron murde jila jila kar
pilana pani ka jam zahid gunah mashrab mein hai hamare
sawab leta nahin hai kyun tu sharab mujh ko pila pila kar
nahin koi raazdar hum sa kiya na wahshat mein tujh ko ruswa
ki dagh manind-e-KHar-e-mahi badan mein rakhe chhupa chhupa kar
gale hazaron ne apne kaTe hazaron be-wajh ho gae KHun
bahut hua phir tu yar nadim kaf-e-hinai dikha dikha kar
nigah ki surat phiro na har su hijab tum mardumuk se sikho
ab aao aankhon mein sair dekho mizha ki chilman uTha uTha kar
dikha ke gul se ezar tu ne kiya dil-e-ashiqan ko bulbul
bana diye gosh ghairat-e-gul sada-e-rangin suna suna kar
gunah karta hai barmala tu kisi se karta nahin haya tu
KHuda ko kya munh dikhaega tu zara tu ai be-haya haya kar
chala hai mahfil se apne saqi dikhaun main apni ashk-bari
karun bat-e-mai ko murgh-e-abi abhi se dariya baha baha kar
rulae barson hansi tu jis se dikhae gar zulf mar rakkhe
kare tu dar-parda rah dil mein jo dekhe parda uTha uTha kar
wahi asar hai junun ka ab tak wahi hai laDkon ko ab bhi kawish
ki meri miTTi ke roz majnun bigaDte hain bana bana kar
ajab nahin nama-e-amal ka dila ho kaghaz agar KHata ke
KHataen kin main ne aashkara kiye hain isyan chhupa chhupa kar
asar hai chah-e-zaqan ki ulfat ka baad-e-murdan bhi aah baqi
ki khelti hain hamari miTTi ke Dol laDke bana bana kar
kiya hai poshida ishq hum ne kisi se dar-parda hai mohabbat
paDe hue bistar-e-alam par jo rote hain munh chhupa chhupa kar
jo KHauf tufan-e-ashk se ab nahin hai jata na jae qasid
rawan karun su-e-yar-e-jaani KHaton ki nawen bana bana kar
tera sa qad ban saka na hargiz teri si surat na bin saki phir
agar-che sane ne lakhon naqshe bigaD Dale bana bana kar
udhar mizha ne lagai barchhi idhar nigahon ne tir mare
shikast di fauj-e-sabr-e-dil ko ye kis ne aankhen laDa laDa kar
kaTi hai goya shab-e-jawani bas aan pahunchi hai subh-e-piri
bahut si ki tu ne but-parasti ab ek do din KHuda KHuda kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.