Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dobara dil mein koi inqalab ho na saka

Natiq Lakhnavi

dobara dil mein koi inqalab ho na saka

Natiq Lakhnavi

MORE BYNatiq Lakhnavi

    dobāra dil meñ koī inqalāb ho na sakā

    tumhārī pahlī nazar javāb ho na sakā

    kamāl-e-nūr zavāl-e-hijāb ho na sakā

    vo be-naqāb kabhī be-naqāb ho na sakā

    dil-e-tapīda huā bazm-e-husn se vāpas

    nazar Thahar na sakī intiḳhāb ho na sakā

    ravish badal ga.ī tevar tire nahīñ badle

    qayāmat aa.ī magar inqilāb ho na sakā

    kahāñ dil aur kahāñ dil ke ā.īne adā

    ġharaz savāl se behtar javāb ho na sakā

    mire savāl pe us ne nazar jo nīchī

    phir us mujh se javāb-ul-javāb ho na sakā

    jalāl-e-ro'b hai 'nātiq' jamāl par us ke

    vo be-naqāb kabhī be-naqāb ho na sakā

    dobara dil mein koi inqalab ho na saka

    tumhaari pahli nazar ka jawab ho na saka

    kamal-e-nur zawal-e-hijab ho na saka

    wo be-naqab kabhi be-naqab ho na saka

    dil-e-tapida hua bazm-e-husn se wapas

    nazar Thahar na saki intiKHab ho na saka

    rawish badal gai tewar tere nahin badle

    qayamat aai magar inqilab ho na saka

    kahan dil aur kahan dil ke aaine ki ada

    gharaz sawal se behtar jawab ho na saka

    mere sawal pe us ne nazar jo ki nichi

    phir us ka mujh se jawab-ul-jawab ho na saka

    jalal-e-ro'b hai 'natiq' jamal par us ke

    wo be-naqab kabhi be-naqab ho na saka

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    dobara dil mein koi inqalab ho na saka Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now