Dubo ke mulk se tere hisab ka suraj
Dubo ke mulk se tere hisāb kā sūraj
nikālnā hai hameñ inqalāb kā sūraj
kisī bhī shaḳhs ko laate nahīñ vo nazroñ meñ
bulandiyoñ pe abhī hai janāb kā sūraj
miTā ke zulm kī rakh degā ye tamāzat ko
nikal rahā hai na.ī āb-o-tāb kā sūraj
hai nuur chhāyā huā har taraf zamāne meñ
chamak rahā hai kisī ke shabāb kā sūraj
agar ġharīb kā bebas kā dil dukhā.egā
jalā ke chhoḌegā tujh ko azaab kā sūraj
jabīñ pe aap kī sajdoñ ke gar nishāñ hoñge
lahad ko rakkhegā raushan savāb kā sūraj
ḳhudā kī zaat se ummīd hai ye 'shād' hameñ
ugegā ek din apne hisāb kā sūraj
Dubo ke mulk se tere hisab ka suraj
nikalna hai hamein inqalab ka suraj
kisi bhi shaKHs ko late nahin wo nazron mein
bulandiyon pe abhi hai janab ka suraj
miTa ke zulm ki rakh dega ye tamazat ko
nikal raha hai nai aab-o-tab ka suraj
hai nur chhaya hua har taraf zamane mein
chamak raha hai kisi ke shabab ka suraj
agar gharib ka bebas ka dil dukhaega
jala ke chhoDega tujh ko azab ka suraj
jabin pe aap ki sajdon ke gar nishan honge
lahad ko rakkhega raushan sawab ka suraj
KHuda ki zat se ummid hai ye 'shad' hamein
ugega ek din apne hisab ka suraj
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.