dukh hai kai wabaal mujhe nochte rahe
dukh hai ka.ī vabāl mujhe nochte rahe
vahshat meñ māh-o-sāl mujhe nochte rahe
maiñ ehtijāj kar na sakā ehtirām meñ
aur us ke ḳhadd-o-ḳhāl mujhe nochte rahe
zaḳhmī huā huuñ husn ke hāthoñ tamām umr
kuchh log be-misāl mujhe nochte rahe
un ko bhī de rahā huuñ duā.eñ mire aziiz
jo kar ke pā.emāl mujhe nochte rahe
yā shahr meñ hasīn rulāte the rāt-din
yā dasht meñ ġhazāl mujhe nochte rahe
'mannān' jo milātā rahā merī haañ meñ haañ
us shaḳhs ke savāl mujhe nochte rahe
dukh hai kai wabaal mujhe nochte rahe
wahshat mein mah-o-sal mujhe nochte rahe
main ehtijaj kar na saka ehtiram mein
aur us ke KHadd-o-KHal mujhe nochte rahe
zaKHmi hua hun husn ke hathon tamam umr
kuchh log be-misal mujhe nochte rahe
un ko bhi de raha hun duaen mere aziz
jo kar ke paemal mujhe nochte rahe
ya shahr mein hasin rulate the raat-din
ya dasht mein ghazal mujhe nochte rahe
'mannan' jo milata raha meri han mein han
us shaKHs ke sawal mujhe nochte rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.