dukh ki chiKHen pyar ki sargoshiyan rah jaengi
dukh kī chīḳheñ pyaar kī sargoshiyāñ rah jā.eñgī
ham chale jā.eñge āvāzeñ yahāñ rah jā.eñgī
ā.inoñ jaise badan dariyā bahā le jā.egā
ret meñ pairāhanoñ kī dhajjiyāñ rah jā.eñgī
sub.h se pahle guzar jā.egā ye tūfān bhī
āsmāñ par ikkā-dukkā badliyāñ rah jā.eñgī
ho bhī jaa.e dil agar ḳhālī ḳhayāl-o-ḳhvāb se
phir bhī ik kone meñ kuchh be-ḳhvābiyāñ rah jā.eñgī
dukh ki chiKHen pyar ki sargoshiyan rah jaengi
hum chale jaenge aawazen yahan rah jaengi
aainon jaise badan dariya baha le jaega
ret mein pairahanon ki dhajjiyan rah jaengi
subh se pahle guzar jaega ye tufan bhi
aasman par ikka-dukka badliyan rah jaengi
ho bhi jae dil agar KHali KHayal-o-KHwab se
phir bhi ek kone mein kuchh be-KHwabiyan rah jaengi
- Book : Auraaq-e-Khezani (Pg. 41)
- Author : Ahmad Mushtaq
- Publication : Rekhta Foundation (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.