dukh mein nir baha dete the sukh mein hansne lagte the
dukh meñ niir bahā dete the sukh meñ hañsne lagte the
sīdhe-sāde log the lekin kitne achchhe lagte the
nafrat chaḌhtī āñdhī jaisī pyaar ubalte chashmoñ sā
bairī huuñ yā sañgī sāthī saare apne lagte the
bahte paanī dukh-sukh bāñTeñ peḌ baḌe būḌhoñ jaise
bachchoñ kī aahaT sunte hī khet lahakne lagte the
nadiyā parbat chāñd nigāheñ maalā ek ka.ī daane
chhoTe chhoTe se āñgan bhī kosoñ phaile lagte the
dukh mein nir baha dete the sukh mein hansne lagte the
sidhe-sade log the lekin kitne achchhe lagte the
nafrat chaDhti aandhi jaisi pyar ubalte chashmon sa
bairi hun ya sangi sathi sare apne lagte the
bahte pani dukh-sukh banTen peD baDe buDhon jaise
bachchon ki aahaT sunte hi khet lahakne lagte the
nadiya parbat chand nigahen mala ek kai dane
chhoTe chhoTe se aangan bhi koson phaile lagte the
- Book : Sheher Men Gaon (Pg. 185)
- Author : Shahid Mahili
- Publication : Miaar Publications (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.