dukh nahin hai ki jal raha hun main
dukh nahīñ hai ki jal rahā huuñ maiñ
raushnī meñ badal rahā huuñ maiñ
TūTtā hai to TuuT jaane do
aa.ine se nikal rahā huuñ maiñ
rizq miltā hai kitnī mushkil se
jaise patthar meñ pal rahā huuñ maiñ
har ḳhazāne ko maar dī Thokar
aur ab haath mal rahā huuñ maiñ
ḳhauf ġharqāb ho gayā 'faisal'
ab samundar pe chal rahā huuñ maiñ
dukh nahin hai ki jal raha hun main
raushni mein badal raha hun main
TuTta hai to TuT jaane do
aaine se nikal raha hun main
rizq milta hai kitni mushkil se
jaise patthar mein pal raha hun main
har KHazane ko mar di Thokar
aur ab hath mal raha hun main
KHauf gharqab ho gaya 'faisal'
ab samundar pe chal raha hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.