dukh sahe dusron ki KHushi ke liye
dukh sahe dūsroñ kī ḳhushī ke liye
ye baḌī baat hai aadmī ke liye
tab kahīñ jā ke har sū ujālā huā
ḳhaak sham.a huī raushnī ke liye
fikr-e-bāñg-e-darā ham ko ḳhud chāhiye
qāfile kab ruke haiñ kisī ke liye
jis taraf dekhiye kitne jhūTe ḳhudā
saf-ba-saf baiThe haiñ bandagī ke liye
ai mirī zindagī maiñ ne terā bharam
kho diyā lazzat-e-zindagī ke liye
rāhateñ ġham ke baad aatī haiñ ai 'sadā'
ġham baḌī chiiz hai aadmī ke liye
dukh sahe dusron ki KHushi ke liye
ye baDi baat hai aadmi ke liye
tab kahin ja ke har su ujala hua
KHak shama hui raushni ke liye
fikr-e-bang-e-dara hum ko KHud chahiye
qafile kab ruke hain kisi ke liye
jis taraf dekhiye kitne jhuTe KHuda
saf-ba-saf baiThe hain bandagi ke liye
ai meri zindagi main ne tera bharam
kho diya lazzat-e-zindagi ke liye
rahaten gham ke baad aati hain ai 'sada'
gham baDi chiz hai aadmi ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.