dukh sahte hain chup rahte hain
dukh sahte haiñ chup rahte haiñ
rone vāloñ se achchhe haiñ
jī halkā karnā hī nahīñ hai
varna to aañsū itne haiñ
kar lete haiñ āñkheñ patthar
mere jaise jab rote haiñ
jin kī umiid na ho aane kī
un kā bhī rasta takte haiñ
badan huuñ yā maiñ shāḳh shajar kī
mujh se kitne gul lipTe haiñ
raah meñ ik bhī jism nahīñ hai
jaane ye kis ke saa.e haiñ
aisī dhuup kā hāsil kyā hai
manzar to kaale kaale haiñ
dukh sahte hain chup rahte hain
rone walon se achchhe hain
ji halka karna hi nahin hai
warna to aansu itne hain
kar lete hain aankhen patthar
mere jaise jab rote hain
jin ki umid na ho aane ki
un ka bhi rasta takte hain
badan hun ya main shaKH shajar ki
mujh se kitne gul lipTe hain
rah mein ek bhi jism nahin hai
jaane ye kis ke sae hain
aisi dhup ka hasil kya hai
manzar to kale kale hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.