dukha hai dil tabhi to mujh pe chhai hai udasi bhi
dukhā hai dil tabhī to mujh pe chhā.ī hai udāsī bhī
mirī palkoñ pe aañsū bhī laboñ par hai ḳhamoshī bhī
judā.ī meñ mire dil kī suno kyā ho ga.ī hālat
mire dil meñ hai vahshat bhī baḌī hai be-qarārī bhī
mirī āñkhoñ meñ vīrānī mire dil ko pareshānī
kuchh aisī chup huī huuñ maiñ nahīñ hai ḳhud-kalāmī bhī
hameñ to hijr meñ hī kāTnī hai zindagī ab to
vo aa jaa.e nahīñ ummīd baaqī ab zarā sī bhī
agarche choT gahrī hai 'duā' phir bhī nahīñ badlī
vahī hañsne kī aadat bhī vahī hai ḳhush-mizājī bhī
dukha hai dil tabhi to mujh pe chhai hai udasi bhi
meri palkon pe aansu bhi labon par hai KHamoshi bhi
judai mein mere dil ki suno kya ho gai haalat
mere dil mein hai wahshat bhi baDi hai be-qarari bhi
meri aankhon mein virani mere dil ko pareshani
kuchh aisi chup hui hun main nahin hai KHud-kalami bhi
hamein to hijr mein hi kaTni hai zindagi ab to
wo aa jae nahin ummid baqi ab zara si bhi
agarche choT gahri hai 'dua' phir bhi nahin badli
wahi hansne ki aadat bhi wahi hai KHush-mizaji bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.