Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

isi tarah ke shab-o-roz hain wahi duniya

Aftab Hussain

isi tarah ke shab-o-roz hain wahi duniya

Aftab Hussain

MORE BYAftab Hussain

    isī tarah ke shab-o-roz haiñ vahī duniyā

    purānī ḳhaak pe ta.amīr hai na.ī duniyā

    maiñ apne aap meñ gum thā mujhe ḳhabar na huī

    guzar rahī thī mujhe rauñdtī huī duniyā

    har aadmī ko ye duniyā badal ke rakh degī

    badal sakā na agar ab bhī aadmī duniyā

    na.ī havā ko madad ke liye pukārtī hai

    ḳhud apnī aag meñ jaltī huī na.ī duniyā

    maiñ jis havāle se duniyā pe ġhaur kartā huuñ

    usī tarah se kabhī kaash sochtī duniyā

    maiñ apne asl jānib ravāñ davāñ huuñ aur

    bulā rahī hai musalsal mujhe mirī duniyā

    ajiib ḳhvāb thā jis ne mujhe ḳharāb kiyā

    mirī giraft meñ aa kar nikal ga.ī duniyā

    isi tarah ke shab-o-roz hain wahi duniya

    purani KHak pe tamir hai nai duniya

    main apne aap mein gum tha mujhe KHabar na hui

    guzar rahi thi mujhe raundti hui duniya

    har aadmi ko ye duniya badal ke rakh degi

    badal saka na agar ab bhi aadmi duniya

    nai hawa ko madad ke liye pukarti hai

    KHud apni aag mein jalti hui nai duniya

    main jis hawale se duniya pe ghaur karta hun

    usi tarah se kabhi kash sochti duniya

    main apne asl ki jaanib rawan dawan hun aur

    bula rahi hai musalsal mujhe meri duniya

    ajib KHwab tha jis ne mujhe KHarab kiya

    meri giraft mein aa kar nikal gai duniya

    Source :
    • Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 634)
    • Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now