duniya bhi ajab qafila-e-tishna-laban hai
duniyā bhī 'ajab qāfila-e-tishna-labāñ hai
har shaḳhs sarāboñ ke ta'āqub meñ ravāñ hai
tanhā tirī mahfil meñ nahīñ huuñ ki mire saath
ik lazzat-e-pābandī-e-iz.hār-o-bayāñ hai
haq baat pe hai zahr bhare jaam kī ta.azīr
ai ġhairat-e-īmāñ lab-e-suqrāt kahāñ hai
khetoñ meñ samātī nahīñ phūlī huī sarsoñ
bāġhoñ meñ abhī tak vahī hañgām-e-ḳhizāñ hai
ehsās mirā hijr-gazīda hai azal se
kyā mujh ko agar koī qarīb-e-rag-e-jāñ hai
jo dil ke samundar se ubhartā hai yaqīñ hai
jo zehn ke sāhil se guzartā hai gumāñ hai
phūloñ pe ghaTāoñ ke to saa.e nahīñ 'anvar'
āvāra-e-gulzār nasheman kā dhuāñ hai
duniya bhi 'ajab qafila-e-tishna-laban hai
har shaKHs sarabon ke ta'aqub mein rawan hai
tanha teri mahfil mein nahin hun ki mere sath
ek lazzat-e-pabandi-e-izhaar-o-bayan hai
haq baat pe hai zahr bhare jam ki tazir
ai ghairat-e-iman lab-e-suqraat kahan hai
kheton mein samati nahin phuli hui sarson
baghon mein abhi tak wahi hangam-e-KHizan hai
ehsas mera hijr-gazida hai azal se
kya mujh ko agar koi qarib-e-rag-e-jaan hai
jo dil ke samundar se ubharta hai yaqin hai
jo zehn ke sahil se guzarta hai guman hai
phulon pe ghaTaon ke to sae nahin 'anwar'
aawara-e-gulzar nasheman ka dhuan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.