duniya dekhi zamana dekha
duniyā dekhī zamāna dekhā
tujh ko sab meñ yagāna dekhā
mai bhī pī mai-ḳhāna dekhā
rabt-e-ḳhum-o-paimāna dekhā
sab kuchh dekhā aañkh se apnī
tujh ko agar jānāna dekhā
dekhā terā jalva mahvash
nāz-e-ma.ashūqāna dekhā
kaisī kaisī sūrateñ dekhīñ
dil ko ā.ina-ḳhāna dekhā
gardish-e-chashm-e-sitamgar dekhī
palTā khāte zamāna dekhā
sāthī ham ne tujh ko paayā
sab matlab kā zamāna dekhā
ham ne chashm-e-mast kā terī
ik aalam mastāna dekhā
dil kī jalan se aag meñ kuudā
kyoñ soz-e-parvāna dekhā
kyā kyā ishq meñ saḳhtī jhelī
'akbar' ko mardāna dekhā
duniya dekhi zamana dekha
tujh ko sab mein yagana dekha
mai bhi pi mai-KHana dekha
rabt-e-KHum-o-paimana dekha
sab kuchh dekha aankh se apni
tujh ko agar jaanana dekha
dekha tera jalwa mahwash
naz-e-mashuqana dekha
kaisi kaisi suraten dekhin
dil ko aaina-KHana dekha
gardish-e-chashm-e-sitamgar dekhi
palTa khate zamana dekha
sathi hum ne tujh ko paya
sab matlab ka zamana dekha
hum ne chashm-e-mast ka teri
ek aalam mastana dekha
dil ki jalan se aag mein kuda
kyon soz-e-parwana dekha
kya kya ishq mein saKHti jheli
'akbar' ko mardana dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.