duniya hai KHaksar mere sath-sath chal
duniyā hai ḳhāksār mire sāth-sāth chal
ye bār-e-ġham utaar mire sāth-sāth chal
kuchh pal kī kashmakash hai sar-e-rāh sabr rakh
chhaT jā.egā ġhubār mire sāth-sāth chal
phir ye na ho ki baa'd meñ afsos ho tujhe
ab kar na intizār mire sāth-sāth chal
har samt tīrgī hai ye sunsān rahguzar
hai ajnabī dayār mire sāth-sāth chal
maiñ terī ham-safar huuñ koī rahnumā nahīñ
kar mujh pe e'tibār mire saath saath chal
duniya hai KHaksar mere sath-sath chal
ye bar-e-gham utar mere sath-sath chal
kuchh pal ki kashmakash hai sar-e-rah sabr rakh
chhaT jaega ghubar mere sath-sath chal
phir ye na ho ki ba'd mein afsos ho tujhe
ab kar na intizar mere sath-sath chal
har samt tirgi hai ye sunsan rahguzar
hai ajnabi dayar mere sath-sath chal
main teri ham-safar hun koi rahnuma nahin
kar mujh pe e'tibar mere sath sath chal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.