duniya hai kya chiz barabar dekh raha hun
duniyā hai kyā chiiz barābar dekh rahā huuñ
apnī aañkh se aage baḌh kar dekh rahā huuñ
ek samundar aañkh se bāhar dekh rahā huuñ
ek samundar apne andar dekh rahā huuñ
kis hairat se terā paikar dekh rahā huuñ
yuuñ lagtā hai titlī ke par dekh rahā huuñ
aise dekho ye dekho aur vo nahīñ dekho
band karo ye maiñ bhī aksar dekh rahā huuñ
duniya hai kya chiz barabar dekh raha hun
apni aankh se aage baDh kar dekh raha hun
ek samundar aankh se bahar dekh raha hun
ek samundar apne andar dekh raha hun
kis hairat se tera paikar dekh raha hun
yun lagta hai titli ke par dekh raha hun
aise dekho ye dekho aur wo nahin dekho
band karo ye main bhi aksar dekh raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.