duniya kahti hai kya an-suna kijiye
duniyā kahtī hai kyā an-sunā kījiye
sāmne aa.ina rakh liyā kījiye
āj-kal har safar muḳhtasar hai bahut
jald az jald har faisla kījiye
aap ke shahr meñ ek muddat se haiñ
ham haiñ kis haal meñ kuchh pata kījiye
zindagī kā safar tanhā kaTtā nahīñ
'ishq hai gar ḳhatā to ḳhatā kījiye
ye sunā hai ki suntā hai rab aap kī
mere haq meñ kabhī to du'ā kījiye
dard achchhā nahīñ 'umr bhar ke liye
mundamil zaḳhm ko mat harā kījiye
aap 'sāhil' kī bātoñ meñ mat aa.iye
dil jo kahtā hai us ko sunā kījiye
duniya kahti hai kya an-suna kijiye
samne aaina rakh liya kijiye
aaj-kal har safar muKHtasar hai bahut
jald az jald har faisla kijiye
aap ke shahr mein ek muddat se hain
hum hain kis haal mein kuchh pata kijiye
zindagi ka safar tanha kaTta nahin
'ishq hai gar KHata to KHata kijiye
ye suna hai ki sunta hai rab aap ki
mere haq mein kabhi to du'a kijiye
dard achchha nahin 'umr bhar ke liye
mundamil zaKHm ko mat hara kijiye
aap 'sahil' ki baaton mein mat aaiye
dil jo kahta hai us ko suna kijiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.