duniya ke hain na din ke dilbar ke ho gae
duniyā ke haiñ na diin ke dilbar ke ho ga.e
ham dil se kalma-go kisī kāfir ke ho ga.e
uTThe na baiTh kar kabhī kū-e-habīb se
us dar pe kyā ga.e ki usī dar ke ho ga.e
ai chashm-e-yār maan ga.e tere sehr ko
dil de ke mo'taqid tire mantar ke ho ga.e
ham arz-e-hāl kar na sake uf-re ro.ab-e-husn
jaate hī un ke sāmne patthar ke ho ga.e
ai 'ḳhār' dil jigar pe hī qaabū nahīñ rahā
ham se ḳhilāf ġhair to kyā ghar ke ho ga.e
duniya ke hain na din ke dilbar ke ho gae
hum dil se kalma-go kisi kafir ke ho gae
uTThe na baiTh kar kabhi ku-e-habib se
us dar pe kya gae ki usi dar ke ho gae
ai chashm-e-yar man gae tere sehr ko
dil de ke mo'taqid tere mantar ke ho gae
hum arz-e-haal kar na sake uf-re roab-e-husn
jate hi un ke samne patthar ke ho gae
ai 'KHar' dil jigar pe hi qabu nahin raha
hum se KHilaf ghair to kya ghar ke ho gae
- Book : Aazadi ke baad dehli men urdu gazal (Pg. 128)
- Author : Professor Unwan Chishti
- Publication : Asila Offset Printers, Kalan Mahal, Dariyaganj, New Delhi-6 (1989)
- Edition : 1989
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.