duniya ke jo maze hain hargiz wo kam na honge
duniya ke jo maze hain hargiz wo kam na honge
Agha Mohammad Taqi Khan taraqqi
MORE BYAgha Mohammad Taqi Khan taraqqi
duniyā ke jo maze haiñ hargiz vo kam na hoñge
charche yahī raheñge afsos ham na hoñge
āġhāz-e-ishq hī meñ shikva butoñ kā ai dil
dukh sabr abhī to kyā kyā sitam na hoñge
bulbul ke dard-e-dil ko mumkin nahīñ mudāvā
gulchīñ ke haath donoñ jab tak qalam na hoñge
yād-e-guzishtagāñ par kyā ro.eñ ab 'taraqqī'
kyā ham ravāna sū-e-mulk-e-adam na hoñge
duniya ke jo maze hain hargiz wo kam na honge
charche yahi rahenge afsos hum na honge
aaghaz-e-ishq hi mein shikwa buton ka ai dil
dukh sabr abhi to kya kya sitam na honge
bulbul ke dard-e-dil ko mumkin nahin mudawa
gulchin ke hath donon jab tak qalam na honge
yaad-e-guzishtagan par kya roen ab 'taraqqi'
kya hum rawana su-e-mulk-e-adam na honge
- Book : غزل اس نے چھیڑی (Pg. 20)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا (2017)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.