duniya ke liye zahr na khaalen koi hum bhi
duniyā ke liye zahr na khāleñ koī ham bhī
is baat pe phir shart lagā leñ koī ham bhī
bahtī huī gañgā tire paanī meñ nahā kar
apne liye nekī na kamā leñ koī ham bhī
lagtā hai yahī vaise guzāra nahīñ hogā
jhūTī hī sahī baat banā leñ koī ham bhī
har saal manā.egī baḌī dhuum se duniyā
is ishq ko tyauhār banā leñ koī ham bhī
dil meñ liye phirte haiñ bas itnī sī ye ḳhvāhish
bāloñ meñ tire phuul lagā leñ koī ham bhī
tū baat nahīñ suntā yahī hal hai phir is kā
jhagḌe ke liye vaqt nikāleñ koī ham bhī
duniya ke liye zahr na khaalen koi hum bhi
is baat pe phir shart laga len koi hum bhi
bahti hui ganga tere pani mein naha kar
apne liye neki na kama len koi hum bhi
lagta hai yahi waise guzara nahin hoga
jhuTi hi sahi baat bana len koi hum bhi
har sal manaegi baDi dhum se duniya
is ishq ko tyauhaar bana len koi hum bhi
dil mein liye phirte hain bas itni si ye KHwahish
baalon mein tere phul laga len koi hum bhi
tu baat nahin sunta yahi hal hai phir is ka
jhagDe ke liye waqt nikalen koi hum bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.