duniya ko hadson mein giraftar dekhna
duniyā ko hādsoñ meñ giraftār dekhnā
jab dekhnā ho dostoñ aḳhbār dekhnā
phir us ke ba.ad shauq se bai.at karo magar
pahle amīr-e-shahr kā kirdār dekhnā
us kī taraf hai amn kā parcham lagā huā
lekin mirā vo ḳhvāb meñ talvār dekhnā
nisbat hai ham ko tiin sau terah se aaj
mumkin nahīñ ke ham ko paḌe haar dekhnā
vo shaḳhs kyā gayā mirī bīnā.ī le gayā
maiñ jis ko chāhtā thā lagātār dekhnā
'ashfāq' tum ko yaad hai maġhrib ke baad meñ
jaanā chhatoñ pe chāñd se ruḳhsār dekhnā
duniya ko hadson mein giraftar dekhna
jab dekhna ho doston aKHbar dekhna
phir us ke baad shauq se baiat karo magar
pahle amir-e-shahr ka kirdar dekhna
us ki taraf hai amn ka parcham laga hua
lekin mera wo KHwab mein talwar dekhna
nisbat hai hum ko tin sau terah se aaj
mumkin nahin ke hum ko paDe haar dekhna
wo shaKHs kya gaya meri binai le gaya
main jis ko chahta tha lagatar dekhna
'ashfaq' tum ko yaad hai maghrib ke baad mein
jaana chhaton pe chand se ruKHsar dekhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.