duniya ko jab nazdiki se dekha hai
duniyā ko jab nazdīkī se dekhā hai
tab samjhā ye sab kuchh khel-tamāsha hai
hāthoñ kī do-chār lakīreñ paḌh kar vo
mujh se bolā aage sab kuchh achchhā hai
us se bas ik baar milā par hairāñ huuñ
dil meñ tab se ghar kar ke vo baiThā hai
kāġhaz par dil kī tasvīr banā.ī jab
us ne pūchhā ye kis shai kā naqsha hai
soch rahā huuñ maiñ is kā saudā kar duuñ
us kī yādoñ kā jo dil meñ malba hai
donoñ pahlū meñ hī haar chhipī is meñ
mere hāthoñ meñ ab ye jo sikka hai
is ḳhātir maiñ roz mashaqqat kartā huuñ
āsānī se kyā hāsil ho paatā hai
jab qudrat ne thoḌā aaj navāzā to
saare mujh se pūchhe haiñ tū kaisā hai
'mīt' yahāñ apne to naam ke apne haiñ
an-jānoñ se rishta dil kā gahrā hai
duniya ko jab nazdiki se dekha hai
tab samjha ye sab kuchh khel-tamasha hai
hathon ki do-chaar lakiren paDh kar wo
mujh se bola aage sab kuchh achchha hai
us se bas ek bar mila par hairan hun
dil mein tab se ghar kar ke wo baiTha hai
kaghaz par dil ki taswir banai jab
us ne puchha ye kis shai ka naqsha hai
soch raha hun main is ka sauda kar dun
us ki yaadon ka jo dil mein malba hai
donon pahlu mein hi haar chhipi is mein
mere hathon mein ab ye jo sikka hai
is KHatir main roz mashaqqat karta hun
aasani se kya hasil ho pata hai
jab qudrat ne thoDa aaj nawaza to
sare mujh se puchhe hain tu kaisa hai
'mit' yahan apne to nam ke apne hain
an-jaanon se rishta dil ka gahra hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.