duniya ko shandar ka matlab nahin pata
duniyā ko shāndār kā matlab nahīñ patā
matlab hamāre yaar kā matlab nahīñ patā
maiñ ne kahā talāsh karūñgā kahāñ tumheñ
us ne kahā qatār kā matlab nahīñ patā
vo vaqt par mile na mile fā.ede meñ huuñ
vo yuuñ ki intizār kā matlab nahīñ patā
allah kare tum āñkheñ dikhāo kabhī use
jis shaḳhs ko ḳhumār kā matlab nahīñ patā
bebāk aadmī huuñ magar huuñ to aadmī
sharm aa rahī hai pyaar kā matlab nahīñ patā
duniya ko shandar ka matlab nahin pata
matlab hamare yar ka matlab nahin pata
main ne kaha talash karunga kahan tumhein
us ne kaha qatar ka matlab nahin pata
wo waqt par mile na mile faede mein hun
wo yun ki intizar ka matlab nahin pata
allah kare tum aankhen dikhao kabhi use
jis shaKHs ko KHumar ka matlab nahin pata
bebak aadmi hun magar hun to aadmi
sharm aa rahi hai pyar ka matlab nahin pata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.