duniya ko to hai gulshan-o-gulzar se matlab
duniyā ko to hai gulshan-o-gulzār se matlab
aur mujh ko faqat yaar ke dīdār se matlab
firdaus kī ḳhvāhish hai na gulzār se matlab
hai ham ko sadā kūcha-e-dildār se matlab
har ābla-e-pā yahī kahtā hai ki mujh ko
sahrā-e-madīna ke hai har ḳhaar se matlab
zāhid ko agar tāq-e-masājid kī talab hai
ushshāq ko hai abrū-e-ḳhamdār se matlab
mahbūb-e-ilāhī mire ḳhvāja ke haiñ mahbūb
tujh ko bhī 'qamar' hai usī sarkār se matlab
duniya ko to hai gulshan-o-gulzar se matlab
aur mujh ko faqat yar ke didar se matlab
firdaus ki KHwahish hai na gulzar se matlab
hai hum ko sada kucha-e-dildar se matlab
har aabla-e-pa yahi kahta hai ki mujh ko
sahra-e-madina ke hai har KHar se matlab
zahid ko agar taq-e-masajid ki talab hai
ushshaq ko hai abru-e-KHamdar se matlab
mahbub-e-ilahi mere KHwaja ke hain mahbub
tujh ko bhi 'qamar' hai usi sarkar se matlab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.