duniya mein ab kisi se kudurat nahin mujhe
duniyā meñ ab kisī se kudūrat nahīñ mujhe
ya.anī ki dushmanoñ se bhī nafrat nahīñ mujhe
ho jaa.e zindagī meñ jo merā tumhārā saath
phir chāhiye kisī kī rifāqat nahīñ mujhe
jo saath de na paa.eñ ġharīboñ kā vaqt par
duniyā meñ aise logoñ se nisbat nahīñ mujhe
maiñ terī justujū meñ sañvartā chalā gayā
ab zindagī meñ koī bhī hasrat nahīñ mujhe
duniya mein ab kisi se kudurat nahin mujhe
yani ki dushmanon se bhi nafrat nahin mujhe
ho jae zindagi mein jo mera tumhaara sath
phir chahiye kisi ki rifaqat nahin mujhe
jo sath de na paen gharibon ka waqt par
duniya mein aise logon se nisbat nahin mujhe
main teri justuju mein sanwarta chala gaya
ab zindagi mein koi bhi hasrat nahin mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.